Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke
Hello Dosto Youtube sirf humare Entertainment ka jariya hi nahi balki isse aap online ghar baithe paise kama sakte hai. Youtube pure world me online videos dekhi jani wali no.1 site hai. isliye agar hum koi Video Upload karte hai to humare Video ko pura world dekh sakta hai. kisi ko bhi koi jankari chahiye hoti hai to vo Google ya Youtube par hi search karke dekhta hai.To chaliye jante hai ki Youtube se kamai kaise hoti hai.
Most Read :-गूगल Adsense न्यू पॉलिसी 2016-Google Adsense Forum
Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke
Hum sab jante hai ki Youtube me Videos Upload kar ke paise kamaye ja sakte hai. Par sawal uthta hai kaise?? Main apko batata hun kaise hota hai ye sab.
Jab hum Youtube me apna Channel bana kar usme Video Upload kar ke Publish karte hai to is Video ko pure World me search kar ke log dekhte hai. Jitne log humare Video ko dekhte hai us hisab se humari income hoti hai. Par sirf Channel bana kar Video Upload karne se humari kamai nahi hpti hai uske liye pahle apko apne Video ko Monetize karke Adsence se jodna padta hai. Jab apka Youtube Channel Adsence se jud jata hai to jab koi humare Video ko dekhta hai to use Video ke niche Adsence ke ads bhi dikhte hai aur jab koi us Ads par click karta hai to humari income hoti hai.Agar Ads par click na bhi ho to 1000 bar humare Video dekhe jane par humari income 1$ se 5$ ke bich me ho jati hai.
Youtube Ko Monetize kar Google Adsence Se Kaise Jodte Hai
Most Read :- Office Me Presentation Kaise De Tips-2016
Jab Aap apne Channel me Video Upload karte hai to apke Channel ke Dashboad me Left side me Video Manager me ja kar Monotization ko Enable karna padta hai.Video Monetization hone ke bad ye apse puchta hai ki How Will I be Paid ? Is Option par Click karne ke bad Adsence se jodne ka Option aata hai.
Most Read :- Mobile Se Paise Kaise Kamaye-Make Money Income
Jab apka Youtube Channel Google Adsence se jud jata hai to Google Adsence ki Team ki aur se apko Email mil jata hai ki apka Channel Adsense se jud chuka hai.
Is Ko Bhi Padhe :- दुनिया के टॉप Browser-What is Browser
To Dosto ab aap jan chuke hai ke Youtube se kamai kaise hoti hai Video Upload kar ke. Lekin Dhyan rahe ki jo Video Aap daloge ge vo apka khud ka hona chahiye kisi ka Copy nahi hona chahiye nahi to apka Video Delete kar diya jayega.
To soch kya rahe hai dosto abhi apna Youtube Channel banaiye aur Video Upload kar ke ghar baithe paise kamaiye.
Apko ye jankari kaisi lagi aap mujhe apne Comments jarur digiyega….Aur nayi-nayi jankari pane ke liye Hindi Me Jane ko Subscribe karna na bhule.
Interesting! Intriguing! Quality! Valuable! Fabulous! Wonderful! Awesome! Merely all the nice words apply to this material! Thanks from the bottom of my body and soul and I will come see once more if you keep up the good work!
Bhai mai cartoon video banana chahata hun
Eg.chhotu motu,chhota bheem,motu patalu
Aise video mai kis software se banasakkta hun please help me
Mujhe iske bare me jyada jankari nahi hai. but haa aap simple cartoon wale videos powtoon.com se bana sakte hai.
YouTube chennal kese banay
Iske bare me ek post likh rha hu..so aap wait kariye
Adsense ka account hone jaruri hai kya youtube video monetize karne ke liye ?
Haa Youtube monetization ke liye adsense jaruri hai. Monetization Enable karne ke baad hume apne Youtube Channel ko Adsense se dodna hota hai…
Agr hum youtube pr koe filum wgera upload karen tu-
msln holywood ya bolywod?
Jo pahly youtube pr mojod ho
Haa kar sakte hai lekin kuch diffrent hona chahiye nahi to adsense ads apke videos me sow nahi honge…
Mtlb kuch chanjing honi chahy?
Apko kya puchna chahte hai kripya apna sawal pure deatils me puchhe aise mujhe kuch samajh me nahi aata to me apki help kaise kar paunga.
Mughhe you tube pe video uplod kaise karte hai
Janana hai
Vinay g mera youtube par jo v video upload karta hoon Includes copyrighted content,, aata hai iska samadhan bataeye ? plz
lagta hai ki Apka Video kisi aur Video se match kar rha hai isliye Copyrighted aa rha hoga. and Video ka Audio bhi kisi se match nahi hona chahiye nahi to vo bhi copyrighted hi kahlayega. Iska samadhan yah hai ki aap koi Original Video Upload kare jo Youtube me pahle se na ho..
vinay bhai kya ndroid phone se bhi blog ka istemal krne pr income hogi. Plz btaye…
Earning tabhi hogi Blog se jab aap usme ads lagayenge. ye bilkul bhi matter nahi karta ki aap PC me Blogging kare ya Mobile se.
Adsense hume money adsense account par dega kya
Adsene apko paise direct apke account me dega..
Vinay Singh Ji mera channel Monetization Enable nahi ho raha hai . Isaka karan kya ho sakata hai.
Kya dikkat aa rhi hai apko Youtube Monetization me aap mujhe details me bataye fir me apki help kar sakta hu. Aap sahi se kariye ho jayega. Pahle Monetization Enable kare fir Youtube ko Adsense se Jode.
Bhai vinayvinay singhSingh YouTube Ka AdSense account kaise bnate hain please help me
Yotube ke monetization section se hi adsense ka account ban jayega apka try kariye…
Koi ESA Link Bhejiye Jis ki Waja Se Me Asani Se Bna Sakon mean Sab kuch ker skon
Aap kya janana chahate hai mujhe samajh me nahi aa rha hai. kripya apna sawal clear kare.
YouTube Ka AdSense account kaise bnayon koi link behjiye
aap ye post padhiye youtube-video-monetize-kaise-kare-adsense-se-kaise-jode/
Account konsa hota jisse rupees lety
Adsense apko direct bank account me paise degi. Acount apka hi hona chahiye. matlab ki jis name se adsense account bana hai usi name se.
But Bro Jahan Se Hum Apny Dosre Rupees nikalwaty usko code ya etc??? Plz ye bta dein account konsa Etc???????????????Plz puri detail me samjhayein
Sir G Google play store me jahan se hum app download kerte WO kaide App Banta h detail me??link Bhej DijiyE
App banane ke bad Google Play me publish karna hota hai. Lekin Publish karne ke liye google Devlopers acccount hona jarur hai. Devlopers account banane me 25$ lagte hai. fir hum google play me koi bhi app publish kar sakte hai aur koi bhi ise download kar sakta hai.
Bro me apny iPad se use kerta hn to enable my account se agy jata hi nahi kyo sir kyo
sir,mobile se kaise video upload kare please help
Muje bhi aapke sat judna h or many kamani g muje muje aapke sat kam karna h
Aap mujhe Facebook par contact kare.
thanks. vinaya jee you tube se paisa kamana chahta hun lekin side nahi bana pa raha hun mai apse side banwana chah raha hun sulk mai de dunga app mera side bana de app milne ka pata bata de mai aapse milana chahta hun [paise kaise mere khate mai ayenge kitna ayenge kab tak ayenge ] mujhe detels maim samjhayen mai jaunpur u.p. ka rahnewala hun comedi karata hun comedi video banata hun
a.o.a sir you tube pa viwes kasey zeyda kert h
Sir mera adsence account activ nahi ho rha hai mughe 7 days ho gye hai Monetization activ kar liya hai lekin adsence account activ nahi ho rha hai..
mai screan caste kar ke video dalu ya khud ka mujhe samjh nahin aarha
Aap Khud Naya Video Banake Daale, Badiya Rahega, Copy Karke Daal To Copyright Ho Jayega, Kuch Naya Daale
Channel kaise banaye
Mujhe apke sath paise kamane hen
very nice bro. youtube par video daalne ka bahut asan tareeka share kia hai aap ne.
Luqman thanks
bhai youtube video ke andar aik se ziada bar ads show karne ka kia tareeka hai ? please btaye ga.
nahi hai, youtube apni pasand se hi adsense dikhata hai, jitna lamba video hoga utne ads jyada dikhay denge
Sir Google par apni video link kaise share karte hain.. 2. Sir fb par per day post kitne send kar sakte hai aur kitne friends request send kar Sakte hai per day..
sir m youtube se paisa kamana chahta hu bt sir mera utube account nhi pa rha hai sir pls help me step by step mujhe samjha dijiye..7266002440
monitization enable kaise krenge aur apna bank details kaise submit karenge pls link send kijiye sir call me 7266002440
google mai link kese share karty hain aor is ka koi bad effect to nai hai?
hhi vanay g muje monitization accont banake youtube se kese pese kemate sikhna h
nice post bro keep it up
Sir youtube ki new policy se kese bacha jay..
youtube money nice yaar
Nice update thanks for the update us