Android App Kaise Banaye Apne Blog(Website) Ke Liye
Aur agar aap chahe to paise bhi kama sakte hai App Download karva ke. Iske bare me bhi main aage bataunga.
Aur Ye Post Bhi Padhiye –
- Computer-ki-speed-badhane-ke-5-tarike
- Online-Aadhar-kaise-download-kare
- Share Market me ghar baithe paise kaise kamye.
Android App Kaise Banaye –
Step 1 – Apne Internet Browser me www.appsgeyser.comke site pe jaiye.

Ab Create Now par Click kijiye.
Step 2 – Ab jo Page khulega usme apko apne App ki Category chunani hai. jaise ki aap Website ke liye banana chahte hai ya Facebook, Massanger ya Browser ke liye etc.
Abhi hum Blog(Website) ke liye banana chahte hai, isliye Website par Click kijiye.
Step 3 – Ab agale Page me apne Blog(Website) ki URL dale.
{Note :- Agar apka Blog(Website) nahi hai to ye post padhiye –Blogger Me Free Website Kaise Banaye}
Ab Next par Click kare.
Step 4 – Ab apne App ka Naam dale jo bhi aap rakhna chahte hai. Example – Hindi Me Jane
Fir Next Par Click kijiye.
Step 5 – Ab apne App ka Discription Dale. Ye Discription Sahi-Sahi dale kyonki ye App ke liye Important Hai.
Fir Next par Click kijiye.
Step 6 – Ab apko apne App ke liye Icon choose karna hai. Agar aap apni koi Icon dalna chahte hai to Costom Icon me Upload kar sakte hai.
Icon choose karne ke bad Next par Click kijiye.
Step 7 –
Ab Last me Create App par Click kar dijiye.
Badhai Ho Apka App Ban Kar Teyar Hai. Lekin Ise Download karne Aut Publish Karne Ke Liye Apko Sign Up Karna Hoga
Step 8 – Sign Up form bharne ke bad Sign Up par Click kijiye.
Apne Android App Ko Blog(Website) Me Kaise Dale –
Apne App ko Blog(Website) par Publish karne ke liye Apne Dashboard me Publish Option par Click kijiye.
Ab Place QR Widget On Your Website Ke Niche aap jo Banner dalna chahe uski HTML Code ko Copy kar ke apne Blog(Website) ke Lyout me jakar dal de.
{Note – Agar Apko Nahi Pata Kaise Dalte Hai To Padhiye Ye Post – Blogwebsite Me HTML Code Ko Kaise Dalte Hai}
Ab aap apna App Download karva ke paise kama sakte hai. Jab apka App 100 bar Download hoga to apko 1$ income hogi. Ye Income Aap Monetize Option par Click kar ke dekh sakte hai.
Hindi Me Jane Android App Download Karne Ke Liye Yahan Click Kare –
Agar apka koi sawal hai to aap Comments ke jariye puch sakte hai. Aur HindiMeJane ko Subscribe karna na bhule.
thanks bro mene banaliya app
Not merely high quality, yet also valuable details. As well as that is unusual to come by these days! I have to state that I am truly satisfied as well as will certainly come back again if you maintain up the quality as well as worth of the content at this degree, or even obtain it on the next level.
But hi atcha loga ki Apps kaise banate hai shikh kar…. thank u.
App Kaise Banate hai shikh kar atcha loga , bohut din se sikhne ki kosis ki lekin sikh nhi paya tha lekhin apka blog ne mujhe ye probelm bhi solve kar diya ,Thanks
png se image kaise banate hai mera matlab ki kisi bhi photo ko edit karte h na toh wahi aap bata dijiye ki ye png kya h or iske jariye hum kaise photo edit kar sakte hai
png photo ka ek type hai for example jpg, png, jpeg etc. aap photosoap se png image bana sakte hai..
Hello friend aap bnana kshe start kre plz help me
Post me bataye gaye steps ko sahi se follow kariye ban jayega apka app…
Mujhe bhut acha lga aapki posts padh kar,or thanks bolna chahuga aapko frnd ese hi aap apni posts apne blogger par daliye taki mujhe or jo apki posts pdhte h un sbko posts achi lge …..gud nyt all of you
Bhai mai apps to bana diya but jab hm usko download kr ke open krte hai to likhata hai CONNECTION NOT AVAILABLE aisa kyo likha rha hai. Plz….jldi btao hme
Apke mobile me internet slow hoga is karan se likh rha hoga…
please check internet connection and try again..ok
very very useful article hai. but mera 1 ques hai -: aapne ye nhi bataya ki issase jo income hogi wo milegi kaise?
paypal account ke through…
Sir hamari banayi hui app download honi shuru ho jaye to hame paise kitne time baad milenge
Jab apke apps 100 bar download ho jayenge tab aap ki earning honi suru hogi. jyada jankari ke liye aap appgayser ki Monetization policy padh sakte hai..
Hi sir mera blog blogger.com par hai or usi ka awsom ink ka template liya hai lekin baat iye hai ki jab me apna blog open karta hun tab me apne phone rotate karun to bo apne aap mobile or desktop me nahi badalti hai jaise me apne phone ko tedha Karin to bo desktop site me basal jaye or seedha karu to mobile site me plzz.
Aap koi Responsive Template use kare apne blog me…
Bhai mene app to bana le laken ese 160 user ne download bhe kar leya h laken income show ne ho rahe kaha pe hoge , aur apps step by step karne ke baad email se bhe signup ker deya ya kuch aur bhe karna hota h kya app create kerne ke baad ,
Aap monetization Option me jakr Earning Check kar sakte hai…
Isme earning kaise hogi aur kaha se hogi aur kha pr paisa ayega.
App download hone par apki earning hogi. aap Monetize me jakar dekh sakte hai.
SirJi Agar Hame songs ki ya Wallpaper ki websites banani hoto kaise banaye…?
sir ji aap Ka wats app no.mil skta h ?
Aap wordpress par bana sakte hai. aur mera whats app no. apko about us page me mil jayega.
Aap apana no. Do 8459090603 mujhe aap sent kuchh puchhana h
Mera whatsapp no about us page me diya hua hai.
Mai android app banane aur usko aplode karne ke bare me janna chahta hu
Agar aap programing app banana chahte hai aur google play par publish karna chahte hai to apko achhe paise bhi kharch karne padenge.
Aap apna whatsapp number de sakte ho
mera whatsapp no. about us page me diya hai.
Sir main ne apne android mobile pr blogger.com pe blog bnaya hai laiken wo mujh se leptop me sighn in ni ho raha kaise kron?
Kya Problem aa rhi hai pc me sign in karne me. kya account verify karne ke liye bol rha hai. agar haa to verify karne par khulega. details me bataye tabhi me help kar paunga.
bhai maine apni blog site ki app banane ki kosis ki par last me download karne ke lie email mangta hai par mera gmail par hai to gmail or password incorrect kyu batata hai
App download karne ke liye sabse pahle apko appgayser me account banana hoga. fir aap app download kar sakte hai. Account banane ke liye aap registration form sahi sahi bhare.
hello sir hamne app bana liya hi use poublish krta hu to koi code manta hi kon sa code du
Maine bhi Newefuture Ke Naam Se Ek Blog Bnaya Hai Aur Mai Aapke Jaisa Template Use Karna Chahta Hu Kya Aap Apne Blog Ke Template Ka Link Mujhe De Sakte hai
Mera Theme ka name Ribbon hai jo maine Mythemeshop ki site se download kiya tha…
bro muje apna app monitize karna h plz aap uski jankari meri email par bheje kuldeeprai88724@gmail.com
Hello sir ji sure trader Kiya hai
Hello sir
mene her setup complete kar diya per last mesign up nahi ho raha hai usme verify kaise kare plz help me
sir may jo app banaaya hu to mane dakh ki jab mera app 100baar download hogaa to mujha 1$ income hogaa to sir aus Rs. ko kase mera account may Rs. aayange
app bnanay k bad usmay sing in krtay h to bad m app ban jata h uskay bad ALERT wala option kasay laya jata h
app bnaay k bad usmay sing in krtay h to bad m app ban jata h uskay bad dashword m ALERT wala option kasay laya jata h
bhai monitize kaise karen usme 3 option aa rahe hai kya karna hai cod bhi mang raha hai kya cide daalna hoga usme
bhai mera laptop on nahi hota hai
Usmay batata hai ki missing operating system
apko fir se Window Oprating System dalni hogi. Window ki bootable disk se ho jayega…
Sir maine ek app ready kiya hai but me ushe apne blog me publish nahi kar pa rha hu please sir mujhe deeply tarike se bataye…
Ham app banakar kitne rupaye kama sakte hai
Agr hm apne app pr paise dalna chahte h
Mera mtlb h ki Agr koi mera app download krega usko itne paise duga to ye kaise hoga
Or tm kh rhe ho ki 1& milega
What is this
Aisa Ho Sakta Hai, Uski Lambi Priccess Hoti Hai, Aap Chahe To Aisa Kar Sakte Hai,
Samsung Z3 me Koi v apps install krne pr wo ni chl rha kya kroo
Aap Jab Bhi Koi App Install Karte Hai Tab Aap Ke Mobile Me Active Ho Jata Hai, Lekin Aap Ko Aisa Nahi Hota Hai To Aap Mobile Ko Format Kare, Use Baad Nahi Hota Hai To Samsung Service Center Pe Bataye
HI MENE APP BANAYA HE USME USME PHOTO KESHE DALNA HE BATAO JALDI
aap ko app me kya photo kyu lagana hai,app is liye banaya jata hai jisme website automiteic update hota hai
Apne jo apps banane ka tareka bataya Is apps me hum video upload ker sakte he ager ha to kese plz tell me
Sir, mene ek ap creat kiya h ,aur creat karne ke bad mene usko load bhi kar liya lekin jab usko istall ke liye open karta hu to istall ka btton kam nahi kar raha h lekin istall button show kar raha h..
What is problem ????
Plzzz melp me ,hurriedly.
Sar app banane ke bad public karnepar hame kese pata chalega ki hamara app public hua haya nahi
2 agar hamara app public hogaya he to ham app ko kahase dwonlod karsakte he
Hi Vinay maine to apna app achhiadvice.com ke liye bnaya aur download banner bhi laga diya but app to download nhi ho rha hai aakhir problem kya hai please help……….
app se paise to milte hai lekin uska istemal kaise kare
[…] Go to =====> Appsgeyser Issko Banane KE Baare Me AaShani Se SIkhSakte Hai Yaha ==.Click.== Kre Android app Bnana Hindimejane.comISO Iphone App Banane Ki JaankariAap Tak Sevi Aap ISO Iphone App Banana Sikhna Chahte HAi To Isske […]